tere zikr se faraghat na hui na hai na hogi
tire zikr se farāġhat na huī na hai na hogī
kabhī ḳhatm ye ibādat na huī na hai na hogī
tire dar pe sar jhukā hai tire dar pe sar jhukegā
kisī aur dar se nisbat na huī na hai na hogī
tirā āstāñ salāmat tire āstāñ ke sadqe
mujhe ārzū-e-jannat na huī na hai na hogī
tire dāman-e-karam se mujhe mil gayā hai sab kuchh
kisī chiiz kī zarūrat na huī na hai na hogī
tirī yaad se jo haT kar shab-o-roz ho rahī hai
kabhī puurī vo ibādat na huī hai na hai na hogī
tujhe chāhtā rahā huuñ tujhe chāhtā rahūñgā
kisī aur se mohabbat na huī na hai na hogī
mirī uljhanoñ kā baa.is mirī zindagī hai 'nayyar'
mujhe uljhanoñ se fursat na huī na hai na hogī
tere zikr se faraghat na hui na hai na hogi
kabhi KHatm ye ibaadat na hui na hai na hogi
tere dar pe sar jhuka hai tere dar pe sar jhukega
kisi aur dar se nisbat na hui na hai na hogi
tera aastan salamat tere aastan ke sadqe
mujhe aarzu-e-jannat na hui na hai na hogi
tere daman-e-karam se mujhe mil gaya hai sab kuchh
kisi chiz ki zarurat na hui na hai na hogi
teri yaad se jo haT kar shab-o-roz ho rahi hai
kabhi puri wo ibaadat na hui hai na hai na hogi
tujhe chahta raha hun tujhe chahta rahunga
kisi aur se mohabbat na hui na hai na hogi
meri uljhanon ka bais meri zindagi hai 'nayyar'
mujhe uljhanon se fursat na hui na hai na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.