teri aamad ne sach har KHwab-e-derina bana Dala
tirī aamad ne sach har ḳhvāb-e-derīna banā Daalā
hamārī anjuman ko bazm-e-ḳhāsāna banā Daalā
añdheroñ se nikal kar raushnī meñ paañv rakhte hī
dikhā kar aañkh tum ne mujh ko begāna banā Daalā
bahut chālāk hai is daur kā majnūñ jo chupke se
sunā hai us ne sahrā meñ hī kāshāna banā Daalā
kiyā jab 'ahd tum se rāz-dārī kā to phir maiñ ne
zabāñ kar lī muqaffal dil ko tah-ḳhāna banā Daalā
hukūmat ne kiyā jab mai-kade kā band darvāza
to rindoñ ne hasīñ āñkhoñ ko mai-ḳhāna banā Daalā
shikasta dil kā kyā karte so ik tarkīb ye sūjhī
har ik TukḌe se maiñ ne ek ā.īna banā Daalā
mujhe kahne lage sab log dīvāna to zāhir hai
zamāne-bhar ko maiñ ne 'nazr' dīvāna banā Daalā
teri aamad ne sach har KHwab-e-derina bana Dala
hamari anjuman ko bazm-e-KHasana bana Dala
andheron se nikal kar raushni mein panw rakhte hi
dikha kar aankh tum ne mujh ko begana bana Dala
bahut chaalak hai is daur ka majnun jo chupke se
suna hai us ne sahra mein hi kashana bana Dala
kiya jab 'ahd tum se raaz-dari ka to phir main ne
zaban kar li muqaffal dil ko tah-KHana bana Dala
hukumat ne kiya jab mai-kade ka band darwaza
to rindon ne hasin aankhon ko mai-KHana bana Dala
shikasta dil ka kya karte so ek tarkib ye sujhi
har ek TukDe se main ne ek aaina bana Dala
mujhe kahne lage sab log diwana to zahir hai
zamane-bhar ko main ne 'nazr' diwana bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.