teri aankhon ka aisa silsila hun
tirī āñkhoñ kā aisā silsila huuñ
ki ḳhvāboñ kī tarah ab jāgtā huuñ
mujhe DhūñDoge āḳhir tum kahāñ tak
maiñ hijrat kī havā se mil gayā huuñ
jo tere aa.ine ke darmiyāñ hai
usī rishte kā maiñ ik fāsla huuñ
ye dikhlātī hai jo dekhā huā hai
maiñ apnī aañkh se behad ḳhafā huuñ
zarā ḳhud aa.ine meñ dekh le tū
tire chehre pe maiñ likkhā huā huuñ
kisī ko maiñ ne chāhā thā magar ab
usī ke dil kī hasrat ban gayā huuñ
nikal kar sub.h jo har shaam Duube
usī sūraj ko har dam dekhtā huuñ
mirī āñkhoñ meñ phir ik shaam Duubī
kisī ke dil meñ maiñ bhī mar chukā huuñ
teri aankhon ka aisa silsila hun
ki KHwabon ki tarah ab jagta hun
mujhe DhunDoge aaKHir tum kahan tak
main hijrat ki hawa se mil gaya hun
jo tere aaine ke darmiyan hai
usi rishte ka main ek fasla hun
ye dikhlati hai jo dekha hua hai
main apni aankh se behad KHafa hun
zara KHud aaine mein dekh le tu
tere chehre pe main likkha hua hun
kisi ko main ne chaha tha magar ab
usi ke dil ki hasrat ban gaya hun
nikal kar subh jo har sham Dube
usi suraj ko har dam dekhta hun
meri aankhon mein phir ek sham Dubi
kisi ke dil mein main bhi mar chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.