teri aankhon ko tere husn ka dar jaana tha
tirī āñkhoñ ko tere husn kā dar jaanā thā
ham ne dariyā ko hī dariyā kā safar jaanā thā
muntazir the tire malbūs ke sūkhe hue phuul
vo jinheñ tere pahanñe se sañvar jaanā thā
izn-dar-izn chamakte the sitāre dil ke
aaj sab ko tirī āñkhoñ meñ utar jaanā thā
reza-e-kuhl ke mānind kisī roz hameñ
terī palkoñ ke kināre pe bikhar jaanā thā
vaa.e is dil ko na denī thī kabhī ruḳhsat-e-hijr
tere hoñToñ ke qadam chuum ke mar jaanā thā
aur phir yuuñ hai ki rakhtī thiiñ jo is dil ko ḳharāb
un nigāhoñ ko tirī aur sañvar jaanā thā
teri aankhon ko tere husn ka dar jaana tha
hum ne dariya ko hi dariya ka safar jaana tha
muntazir the tere malbus ke sukhe hue phul
wo jinhen tere pahanne se sanwar jaana tha
izn-dar-izn chamakte the sitare dil ke
aaj sab ko teri aankhon mein utar jaana tha
reza-e-kuhl ke manind kisi roz hamein
teri palkon ke kinare pe bikhar jaana tha
wae is dil ko na deni thi kabhi ruKHsat-e-hijr
tere honTon ke qadam chum ke mar jaana tha
aur phir yun hai ki rakhti thin jo is dil ko KHarab
un nigahon ko teri aur sanwar jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.