teri aankhon se main KHud par ayan hone laga tha
tirī āñkhoñ se maiñ ḳhud par ayaañ hone lagā thā
mujhe bhī apne hone kā gumāñ hone lagā thā
maiñ apnī zaat kā sahrā jo tere paas laayā
mire andar bhī bārish kā samāñ hone lagā thā
'atā mujh ko huī sad-shukr thoḌī sī udāsī
vagarna muft meñ jī kā ziyāñ hone lagā thā
kahāñ jaate mirī āñkhoñ se ye aañsū nikal kar
darīda-dāmanī kā imtihāñ hone lagā thā
sarāpā gosh ho kar jo mujhe suntā thā pahroñ
mirā lahja bhī ab us par girāñ hone lagā thā
judā.ī kī ghaḌī se peshtar se rang-e-mausam
phir us ke baa'd har manzar dhuāñ hone lagā thā
teri aankhon se main KHud par ayan hone laga tha
mujhe bhi apne hone ka guman hone laga tha
main apni zat ka sahra jo tere pas laya
mere andar bhi barish ka saman hone laga tha
'ata mujh ko hui sad-shukr thoDi si udasi
wagarna muft mein ji ka ziyan hone laga tha
kahan jate meri aankhon se ye aansu nikal kar
darida-damani ka imtihan hone laga tha
sarapa gosh ho kar jo mujhe sunta tha pahron
mera lahja bhi ab us par giran hone laga tha
judai ki ghaDi se peshtar se rang-e-mausam
phir us ke ba'd har manzar dhuan hone laga tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.