teri aarzu teri justuju mujhe raat din yahi kaam hai
teri aarzu teri justuju mujhe raat din yahi kaam hai
Shaad Fidai Dehalvi
MORE BYShaad Fidai Dehalvi
tirī aarzū tirī justujū mujhe raat din yahī kaam hai
mire dil meñ terī hī yaad hai mire lab pe terā hī naam hai
maiñ bhaTak rahā huuñ idhar udhar kabhī is nagar kabhī us nagar
mujhe dhaḌkanoñ se patā chalā mire dil meñ terā maqām hai
tumheñ kyā batā.ūñ atā-patā mirā gardishoñ se hai vāsta
ki maiñ ek ḳhāna-ḳharāb huuñ kahīñ sub.h hai kahīñ shaam hai
jo nahīñ hai vaqt kā ham-safar use sub.h-o-shām kī kyā ḳhabar
ho kisī kā vaqt pe kyā asar bhalā vaqt kis kā ġhulām hai
hue kyā tumhāre vo qahqahe vo gale lagānā tapāk se
vo khiñche khiñche se ho aaj kyoñ na salām hai na payām hai
koī tujh ko pahuñchegā kyā bhalā koī terā hiitā karegā kyā
jo gumān-o-vaham se duur hai vo maqām terā maqām hai
ye tilism hai na.e daur kā koī imtiyāz karegā kyā
kahāñ 'shād' sajda ravā rakheñ kahāñ sar jhukānā harām hai
teri aarzu teri justuju mujhe raat din yahi kaam hai
mere dil mein teri hi yaad hai mere lab pe tera hi nam hai
main bhaTak raha hun idhar udhar kabhi is nagar kabhi us nagar
mujhe dhaDkanon se pata chala mere dil mein tera maqam hai
tumhein kya bataun ata-pata mera gardishon se hai wasta
ki main ek KHana-KHarab hun kahin subh hai kahin sham hai
jo nahin hai waqt ka ham-safar use subh-o-sham ki kya KHabar
ho kisi ka waqt pe kya asar bhala waqt kis ka ghulam hai
hue kya tumhaare wo qahqahe wo gale lagana tapak se
wo khinche khinche se ho aaj kyon na salam hai na payam hai
koi tujh ko pahunchega kya bhala koi tera hita karega kya
jo guman-o-waham se dur hai wo maqam tera maqam hai
ye tilism hai nae daur ka koi imtiyaz karega kya
kahan 'shad' sajda rawa rakhen kahan sar jhukana haram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.