teri adaen hain kya aur teri KHu kya hai
tirī adā.eñ haiñ kyā aur terī ḳhū kyā hai
samajh sakā na koī aaj tak ki tū kyā hai
na terī khoj na apnī talāsh hai mujh ko
mirī nigāh ko phir shauq-e-justujū kyā hai
kahāñ kā husn kahāñ kī hai bazm-ārā.ī
ik aa.ine ke sivā mere rū-ba-rū kyā hai
kabhī hai dhuup kā sadma kabhī hai shaam kā ġham
sivā.e ġham ke zamāne meñ chār-sū kyā hai
uḌā ke hosh tamāsha banāyā jaatā hai
mujhe pata hai ki anjām-e-ārzū kyā hai
jo tere naam pe miT jaa.e hai vo dīvāna
tirī nazar meñ mohabbat kī aabrū kyā hai
isī vasīle ubhartā hai aks insāñ kā
shu.ūr-e-zāt kā partav hai guftugū kyā hai
mire vajūd se mānūs haiñ sabhī 'shāriq'
maiñ aadmī huuñ magar mujh meñ aisī ḳhū kyā hai
teri adaen hain kya aur teri KHu kya hai
samajh saka na koi aaj tak ki tu kya hai
na teri khoj na apni talash hai mujh ko
meri nigah ko phir shauq-e-justuju kya hai
kahan ka husn kahan ki hai bazm-arai
ek aaine ke siwa mere ru-ba-ru kya hai
kabhi hai dhup ka sadma kabhi hai sham ka gham
siwae gham ke zamane mein chaar-su kya hai
uDa ke hosh tamasha banaya jata hai
mujhe pata hai ki anjam-e-arzu kya hai
jo tere nam pe miT jae hai wo diwana
teri nazar mein mohabbat ki aabru kya hai
isi wasile ubharta hai aks insan ka
shuur-e-zat ka partaw hai guftugu kya hai
mere wajud se manus hain sabhi 'shaariq'
main aadmi hun magar mujh mein aisi KHu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.