teri ana sar-e-bazar chhin lete hain
tirī anā sar-e-bāzār chhīn lete haiñ
sināñ se ham tirī guftār chhīn lete haiñ
jo qaid karke pahnāte haiñ beḌiyāñ ham ko
ham un ke paañv se raftār chhīn lete haiñ
ye mo.ajiza hai hamārā ki ham sar-e-maqtal
hañsī ke vaar se talvār chhīn lete haiñ
tū jāntā nahīñ ham lahja-e-ḳhitābat se
tirī zabāñ sar-e-darbār chhīn lete haiñ
sipar banāte haiñ nāzuk gulū-e-ḳhushk ko ham
kamān-e-lab se hī ham dhaar chhīn lete haiñ
jahāñ meñ aaj ye sheva hai kam-tarīnoñ kā
sharīf logoñ kī dastār chhīn lete haiñ
ye ek talḳh haqīqat hai daur-e-hāzir kī
ḳhushī ġharīb kī zardār chhīn lete haiñ
teri ana sar-e-bazar chhin lete hain
sinan se hum teri guftar chhin lete hain
jo qaid karke pahnate hain beDiyan hum ko
hum un ke panw se raftar chhin lete hain
ye moajiza hai hamara ki hum sar-e-maqtal
hansi ke war se talwar chhin lete hain
tu jaanta nahin hum lahja-e-KHitabat se
teri zaban sar-e-darbar chhin lete hain
sipar banate hain nazuk gulu-e-KHushk ko hum
kaman-e-lab se hi hum dhaar chhin lete hain
jahan mein aaj ye shewa hai kam-tarinon ka
sharif logon ki dastar chhin lete hain
ye ek talKH haqiqat hai daur-e-hazir ki
KHushi gharib ki zardar chhin lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.