teri barbaadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai
tirī barbādiyoñ kā zikr bazm-e-dil-brāñ tak hai
kahāñ kī baat hai ai dil magar pahuñchī kahāñ tak hai
tū kyā jaane mohabbat ke maze ai nāseh-e-nādāñ
pahuñch tirī nigāhoñ kī faqat sūd-o-ziyāñ tak hai
ham insāñ haiñ magar taḳhlīq-e-a.alā haiñ ki ai hamdam
hamāre auj kā charchā zamīñ se āsmāñ tak hai
mohabbat āzmātī hai mohabbat karne vāloñ ko
ye saḳhtī ai dil-e-betāb tujh par imtihāñ tak hai
jahāñ meñ vaise to jiite haiñ sab lekin jo sach pūchho
maza jiine kā duniyā meñ bahār-e-dostāñ tak hai
koī jab dost kahtā hai to sun letā huuñ ai 'āsī'
ki ab to dostī is ahd meñ husn-e-bayāñ tak hai
teri barbaadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai
kahan ki baat hai ai dil magar pahunchi kahan tak hai
tu kya jaane mohabbat ke maze ai naseh-e-nadan
pahunch teri nigahon ki faqat sud-o-ziyan tak hai
hum insan hain magar taKHliq-e-ala hain ki ai hamdam
hamare auj ka charcha zamin se aasman tak hai
mohabbat aazmati hai mohabbat karne walon ko
ye saKHti ai dil-e-betab tujh par imtihan tak hai
jahan mein waise to jite hain sab lekin jo sach puchho
maza jine ka duniya mein bahaar-e-dostan tak hai
koi jab dost kahta hai to sun leta hun ai 'asi'
ki ab to dosti is ahd mein husn-e-bayan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.