teri chaukhaT pe rahne ka jo dil arman chhoDe
tirī chaukhaT pe rahne kā jo dil armān chhoḌe
parinda phuul ke 'āriz pe kyoñ muskān chhoḌe
abhī marne meñ din baaqī haiñ so jī chāhtā hai
bhale tāvān le le ye udāsī jaan chhoḌe
mujhe kyā aam ke bāġhoñ kī bābat pūchhte ho
mujhe muddat huī hai dosto multān chhoḌe
hamāre vāste itnī mohabbat chhoḌ jaanā
parindoñ ke liye jitnā samar dahqān chhoḌe
jahāñ dekho vahīñ aafat koī utrī huī hai
kahāñ Thahre koī jā kar kahāñ sāmān chhoḌe
ab us kī yaad siine se lagā.e phir rahā huuñ
jise bachpan meñ milne ke baḌe imkān chhoḌe
jahāñ kī ḳhaak mujh ko naam se pahchāntī hai
'adīm' us shahr ko kaise koī vīrān chhoḌe
teri chaukhaT pe rahne ka jo dil arman chhoDe
parinda phul ke 'ariz pe kyon muskan chhoDe
abhi marne mein din baqi hain so ji chahta hai
bhale tawan le le ye udasi jaan chhoDe
mujhe kya aam ke baghon ki babat puchhte ho
mujhe muddat hui hai dosto multan chhoDe
hamare waste itni mohabbat chhoD jaana
parindon ke liye jitna samar dahqan chhoDe
jahan dekho wahin aafat koi utri hui hai
kahan Thahre koi ja kar kahan saman chhoDe
ab us ki yaad sine se lagae phir raha hun
jise bachpan mein milne ke baDe imkan chhoDe
jahan ki KHak mujh ko nam se pahchanti hai
'adim' us shahr ko kaise koi viran chhoDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.