teri duniya mein jab tak bhi jie hum
tirī duniyā meñ jab tak bhī ji.e ham
fareb-e-ārzū khāyā kiye ham
agar shart-e-vafā hai be-niyāzī
to phir ai jān-e-mahfil jī liye ham
pareshāñ abr kī sūrat phire haiñ
ġhubār-e-kārvāñ ban kar ji.e ham
ilāhī ḳhair ho jazb-o-junūñ kī
chale haiñ shauq kī duniyā liye ham
ye thā e'jāz chashm-e-pur-fusūñ kā
hue maḳhmūr aksar bin piye ham
bujhāte haiñ charāġh-e-ārzū vo
jalāte haiñ mohabbat ke diye ham
sharāb-e-nāb piine ke liye vo
magar saaqī tarasne ke liye ham
teri duniya mein jab tak bhi jie hum
fareb-e-arzu khaya kiye hum
agar shart-e-wafa hai be-niyazi
to phir ai jaan-e-mahfil ji liye hum
pareshan abr ki surat phire hain
ghubar-e-karwan ban kar jie hum
ilahi KHair ho jazb-o-junun ki
chale hain shauq ki duniya liye hum
ye tha e'jaz chashm-e-pur-fusun ka
hue maKHmur aksar bin piye hum
bujhate hain charagh-e-arzu wo
jalate hain mohabbat ke diye hum
sharab-e-nab pine ke liye wo
magar saqi tarasne ke liye hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.