teri furqat ka mausam aur teri yaadon ki ranai
tirī furqat kā mausam aur tirī yādoñ kī ra.anā.ī
inhī se zindagī kā kuchh hameñ ehsās hai baaqī
diloñ ke TūTne kī gar koī āvāz hotī to
ajab hotā agar koī samā.at taab le aatī
banā hai ḳhaak se lekin na ho gar ḳhāksārī to
barābar hai tirā honā na honā paikar-e-ḳhākī
zabāñ pe lā ke dil kī baat maiñ zer-e-itāb aayā
agar chup-chāp sah letā mirī hotī na rusvā.ī
bahut vāzeh nazar aate haiñ chehre is meñ logoñ ke
banā letā huuñ aaḌe vaqt ko maiñ aa.ina 'sādī'
teri furqat ka mausam aur teri yaadon ki ranai
inhi se zindagi ka kuchh hamein ehsas hai baqi
dilon ke TuTne ki gar koi aawaz hoti to
ajab hota agar koi samaat tab le aati
bana hai KHak se lekin na ho gar KHaksari to
barabar hai tera hona na hona paikar-e-KHaki
zaban pe la ke dil ki baat main zer-e-itab aaya
agar chup-chap sah leta meri hoti na ruswai
bahut wazeh nazar aate hain chehre is mein logon ke
bana leta hun aaDe waqt ko main aaina 'sadi'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.