teri gali mein koi ham-zaban nahin milta
tirī galī meñ koī ham-zabāñ nahīñ miltā
makāñ to haiñ koī ahl-e-makāñ nahīñ miltā
karūñ maiñ kaise bhalā e'tibār logoñ kā
yahāñ kisī kā bhī chehra 'ayāñ nahīñ miltā
agarche 'aish ke sāmān saare haiñ maujūd
magar koī bhī hameñ shādmāñ nahīñ miltā
kabhī jo 'aam thā logoñ kī tishnagī ke liye
hamāre gaañv meñ ab vo kuaañ nahīñ miltā
jo apnī manzil-e-maqsūd se nahīñ vāqif
use fareb-e-tamannā kahāñ nahīñ miltā
kahūñ na tum se to maiñ hāl-e-dil kahūñ kis se
sivā tumhāre koī rāz-dāñ nahīñ miltā
hai nasl-e-nau ke liye fikr lāzmī 'rahbar'
dil-o-nazar kā koī naujavāñ nahīñ miltā
teri gali mein koi ham-zaban nahin milta
makan to hain koi ahl-e-makan nahin milta
karun main kaise bhala e'tibar logon ka
yahan kisi ka bhi chehra 'ayan nahin milta
agarche 'aish ke saman sare hain maujud
magar koi bhi hamein shadman nahin milta
kabhi jo 'am tha logon ki tishnagi ke liye
hamare ganw mein ab wo kuan nahin milta
jo apni manzil-e-maqsud se nahin waqif
use fareb-e-tamanna kahan nahin milta
kahun na tum se to main haal-e-dil kahun kis se
siwa tumhaare koi raaz-dan nahin milta
hai nasl-e-nau ke liye fikr lazmi 'rahbar'
dil-o-nazar ka koi naujawan nahin milta
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 31)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.