teri hansi mein rang bhar rahi thi main
tirī hañsī meñ rang bhar rahī thī maiñ
ki chāñdnī ko paint kar rahī thī maiñ
badan kī lau meñ dasht-e-shab ubuur kar
vo kah rahā thā aur kar rahī thī maiñ
phir us ke baad se ye dil hai daaġh daaġh
bas ek raat chāñd par rahī thī maiñ
tire jamāl se udhar ḳhalā na thā
tire jamāl se udhar rahī thī maiñ
mire tavāf meñ thī saarī kā.ināt
ki jab tirā tavāf kar rahī thī maiñ
mujhe tarāshtā thā raat din koī
kisī ke vāste sañvar rahī thī maiñ
tirī talab nasha thā ek umr kā
utar rahā thā jab to mar rahī thī maiñ
tirā firāq jaise itr-e-vasl thā
aur us ke nam meñ tar-ba-tar rahī thī maiñ
ajiib marhala thā kashf-e-zāt kā
maiñ raushnī thī aur bikhar rahī thī maiñ
teri hansi mein rang bhar rahi thi main
ki chandni ko paint kar rahi thi main
badan ki lau mein dasht-e-shab ubur kar
wo kah raha tha aur kar rahi thi main
phir us ke baad se ye dil hai dagh dagh
bas ek raat chand par rahi thi main
tere jamal se udhar KHala na tha
tere jamal se udhar rahi thi main
mere tawaf mein thi sari kainat
ki jab tera tawaf kar rahi thi main
mujhe tarashta tha raat din koi
kisi ke waste sanwar rahi thi main
teri talab nasha tha ek umr ka
utar raha tha jab to mar rahi thi main
tera firaq jaise itr-e-wasl tha
aur us ke nam mein tar-ba-tar rahi thi main
ajib marhala tha kashf-e-zat ka
main raushni thi aur bikhar rahi thi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.