Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri in mad-bhari aankhon se baDh kar jam kya hoga

Pradeep Tiwari Deep

teri in mad-bhari aankhon se baDh kar jam kya hoga

Pradeep Tiwari Deep

MORE BYPradeep Tiwari Deep

    tirī in mad-bharī āñkhoñ se baḌh kar jaam kyā hogā

    koī mujh se baḌā duniyā meñ ab ḳhayyām kyā hogā

    hasīñ lab chhū le gar paanī mai-e-kausar vo ho jaa.e

    ḳhudārā mahñgī is pyālī socho daam kyā hogā

    havā maddhyam ghane bādal munāsib hai ghanī bārish

    nahā.eñ 'ishq bārish meñ phir anjām kyā hogā

    sitāre toḌ lā.ūñ aur chaman gulzār kar duuñ maiñ

    hasīnoñ ke liye is se baḌā in'ām kyā hogā

    zamāne ko badalne lo ham ne Thaan hai ab

    mile jab tak na manzil paañv ko ārām kyā hogā

    maiñ ḳhud apne gunāhoñ ḳhudī taftīsh kartā huuñ

    du'ā.eñ maañ hoñ jis par koī ilzām kyā hogā

    agar guzrūñ chaman se to nigahbānī kareñ āñkheñ

    koī shā'ir yahāñ par 'dīp' badnām kyā hogā

    teri in mad-bhari aankhon se baDh kar jam kya hoga

    koi mujh se baDa duniya mein ab KHayyam kya hoga

    hasin lab chhu le gar pani mai-e-kausar wo ho jae

    KHudara mahngi is pyali ka socho dam kya hoga

    hawa maddhyam ghane baadal munasib hai ghani barish

    nahaen 'ishq ki barish mein phir anjam kya hoga

    sitare toD laun aur chaman gulzar kar dun main

    hasinon ke liye is se baDa in'am kya hoga

    zamane ko badalne ki lo hum ne Than li hai ab

    mile jab tak na manzil panw ko aaram kya hoga

    main KHud apne gunahon ki KHudi taftish karta hun

    du'aen man ki hon jis par koi ilzam kya hoga

    agar guzrun chaman se to nigahbani karen aankhen

    koi sha'ir yahan par 'dip' sa badnam kya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now