teri intizari mein dhundli hui hai
tirī intizārī meñ dhuñdlī huī hai
nazar jo darīche pe rakkhī huī hai
ye sochoñ kī khichḌī baḌī be-savādī
zehn ke patīle se khurchī huī hai
jahālat ke muñh par tamācha paḌā hai
baḌe operation se beTī huī hai
mujhe kyoñ gilā ho kisī bevafā se
jo khāyā usī kī to palTī huī hai
ziyāda hunar ne bigāḌī hai sūrat
bahut saaf karne se mailī huī hai
ġharībī chhupā lī hai patlūn meñ yuuñ
phaTī shirt andar ko ghursī huī hai
mirī shab añdheroñ meñ kaTtī vagarna
'qamar' ke tasalsul se chamkī huī hai
teri intizari mein dhundli hui hai
nazar jo dariche pe rakkhi hui hai
ye sochon ki khichDi baDi be-sawadi
zehn ke patile se khurchi hui hai
jahaalat ke munh par tamacha paDa hai
baDe operation se beTi hui hai
mujhe kyon gila ho kisi bewafa se
jo khaya usi ki to palTi hui hai
ziyaada hunar ne bigaDi hai surat
bahut saf karne se maili hui hai
gharibi chhupa li hai patlun mein yun
phaTi shirt andar ko ghursi hui hai
meri shab andheron mein kaTti wagarna
'qamar' ke tasalsul se chamki hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.