teri jab se nazar badli hui hai
tirī jab se nazar badlī huī hai
mirī shām-o-sahar badlī huī hai
hai manzil ek shaiḳh-o-barhaman kī
magar kuchh rahguzar badlī huī hai
ḳhudā jaane hamārā haal kyā hai
nigāh-e-chārāgar badlī huī hai
tumhāre vāste chhoḌā zamāna
tumhārī bhī nazar badlī huī hai
hamārā kyā bigāḌegī ye duniyā
hamārī rahguzar badlī huī hai
milā jab se tirī zulfoñ kā saaya
junūñ kī dopahar badlī huī hai
mohabbat kā safar kaise kaTegā
nigāh-e-rāhbar badlī huī hai
firāq-e-dost kā ehsās tauba
sahar to hai magar badlī huī hai
Dareñ kab tak zamāne kī nazar se
badalne do agar badlī huī hai
na pūchho vaqt kī be-e'tibārī
tamannā-e-safar badlī huī hai
sañbhal kar chal ye hai rāh-e-mohabbat
yahāñ har ik Dagar badlī huī hai
sunā thā aane vaale haiñ vo lekin
ka.ī din se ḳhabar badlī huī hai
mohabbat kā safar kaise kaTegā
nigāh-e-ham-safar badlī huī hai
havā-e-vaqt ke hamle to dekho
har ik shāḳh-e-shajar badlī huī hai
duā.eñ māñgiye rab se ki 'shākir'
havā-e-bahr-o-bar badlī huī hai
teri jab se nazar badli hui hai
meri sham-o-sahar badli hui hai
hai manzil ek shaiKH-o-barhaman ki
magar kuchh rahguzar badli hui hai
KHuda jaane hamara haal kya hai
nigah-e-chaaragar badli hui hai
tumhaare waste chhoDa zamana
tumhaari bhi nazar badli hui hai
hamara kya bigaDegi ye duniya
hamari rahguzar badli hui hai
mila jab se teri zulfon ka saya
junun ki dopahar badli hui hai
mohabbat ka safar kaise kaTega
nigah-e-rahbar badli hui hai
firaq-e-dost ka ehsas tauba
sahar to hai magar badli hui hai
Daren kab tak zamane ki nazar se
badalne do agar badli hui hai
na puchho waqt ki be-e'tibari
tamanna-e-safar badli hui hai
sanbhal kar chal ye hai rah-e-mohabbat
yahan har ek Dagar badli hui hai
suna tha aane wale hain wo lekin
kai din se KHabar badli hui hai
mohabbat ka safar kaise kaTega
nigah-e-ham-safar badli hui hai
hawa-e-waqt ke hamle to dekho
har ek shaKH-e-shajar badli hui hai
duaen mangiye rab se ki 'shakir'
hawa-e-bahr-o-bar badli hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.