teri jafaon ka lubb-e-lubab likkha hai
tirī jafāoñ kā lubb-e-lubāb likkhā hai
jo mere chehre pe dil ne hisāb likkhā hai
na saañs lene kī tāqat na aane jaane kī
mire nasīb meñ kaisā azaab likkhā hai
sitam kiye the jo tum ne vo yaad haiñ ham ko
hamāre paas to sab kā hisāb likkhā hai
ulaT ke dekho sitam kā javāb kis se milā
mirī kitāb meñ is kā javāb likkhā hai
hamāre likhne pe kyoñ e'tirāz hai tum ko
jahāñ bhī likkhā hai tum ko gulāb likkhā hai
ġhazal to ek bahānā hai asl meñ 'anjum'
kisī savāl kā ham ne javāb likkhā hai
teri jafaon ka lubb-e-lubab likkha hai
jo mere chehre pe dil ne hisab likkha hai
na sans lene ki taqat na aane jaane ki
mere nasib mein kaisa azab likkha hai
sitam kiye the jo tum ne wo yaad hain hum ko
hamare pas to sab ka hisab likkha hai
ulaT ke dekho sitam ka jawab kis se mila
meri kitab mein is ka jawab likkha hai
hamare likhne pe kyon e'tiraaz hai tum ko
jahan bhi likkha hai tum ko gulab likkha hai
ghazal to ek bahana hai asl mein 'anjum'
kisi sawal ka hum ne jawab likkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.