teri jalwa-gah se uTh ke hum na idhar gae na udhar gae
teri jalwa-gah se uTh ke hum na idhar gae na udhar gae
Kamal Hyderabadi
MORE BYKamal Hyderabadi
tirī jalva-gāh se uTh ke ham na idhar ga.e na udhar ga.e
vahīñ dair bhī thā vahīñ haram na idhar ga.e na udhar ga.e
hameñ aaj aap ke ishq ne vo maqām-e-ḳhās atā kiyā
hue be-niyāz-e-nishāt-o-ġham na idhar ga.e na udhar ga.e
ye fanā baqā kī navāzisheñ ye hayāt-o-maut kī pursisheñ
tire dard-e-hijr kā hai karam na idhar ga.e na udhar ga.e
na qarīn-e-lutf-o-karam hue na rahīn-e-jaur-o-sitam hue
jo the ahl-e-dil vo tirī qasam na idhar ga.e na udhar ga.e
hameñ nāz-e-ishq ne dī sadā kabhī iltifāt pukār uThā
jo vafā-shanās the har qadam na idhar ga.e na udhar ga.e
vo fusūn-e-manzil-e-āgahī vo sukūt-e-mahfil-e-be-ḳhudī
chale darmiyān se bach ke ham na idhar ga.e na udhar ga.e
udhar un ke ruḳh se naqāb uThā idhar apnā hosh-e-nazar gayā
vo pukārte rahe dam-ba-dam na idhar ga.e na udhar ga.e
hai 'kamāl' bāda-kashī kā ye ki ḳhayāl-e-chashm jo aa gayā
hue aise be-ḳhud-o-mast ham na idhar ga.e na udhar ga.e
teri jalwa-gah se uTh ke hum na idhar gae na udhar gae
wahin dair bhi tha wahin haram na idhar gae na udhar gae
hamein aaj aap ke ishq ne wo maqam-e-KHas ata kiya
hue be-niyaz-e-nishat-o-gham na idhar gae na udhar gae
ye fana baqa ki nawazishen ye hayat-o-maut ki pursishen
tere dard-e-hijr ka hai karam na idhar gae na udhar gae
na qarin-e-lutf-o-karam hue na rahin-e-jaur-o-sitam hue
jo the ahl-e-dil wo teri qasam na idhar gae na udhar gae
hamein naz-e-ishq ne di sada kabhi iltifat pukar uTha
jo wafa-shanas the har qadam na idhar gae na udhar gae
wo fusun-e-manzil-e-agahi wo sukut-e-mahfil-e-be-KHudi
chale darmiyan se bach ke hum na idhar gae na udhar gae
udhar un ke ruKH se naqab uTha idhar apna hosh-e-nazar gaya
wo pukarte rahe dam-ba-dam na idhar gae na udhar gae
hai 'kamal' baada-kashi ka ye ki KHayal-e-chashm jo aa gaya
hue aise be-KHud-o-mast hum na idhar gae na udhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.