teri justuju mein hum itna chale hain
tirī justujū meñ ham itnā chale haiñ
hare hashr meñ paañv ke aable haiñ
unheñ barq-o-tūfāñ se kuchh Dar nahīñ hai
havādis ke āġhosh meñ jo pale haiñ
qadam apne har samt rakhnā sañbhal ke
fareboñ ke so.e hue zalzale haiñ
unheñ reg-e-sahrā nikalne na degī
jo rāhoñ se bhaTke hue qāfile haiñ
nazar aa ga.ī hai sharāroñ kī bastī
to aksar havāoñ ne pankhe jhale haiñ
sadāqat ke badle meñ patthar milegā
kahāñ aap shīsha dikhāne chale haiñ
'amal kī zarā aur lau tez kar do
gunāhoñ ke phaile hue qāfile haiñ
hameñ aaj hañsne do 'betāb' dil se
bahut der meñ ġham ke suraj Dhale haiñ
teri justuju mein hum itna chale hain
hare hashr mein panw ke aable hain
unhen barq-o-tufan se kuchh Dar nahin hai
hawadis ke aaghosh mein jo pale hain
qadam apne har samt rakhna sanbhal ke
farebon ke soe hue zalzale hain
unhen reg-e-sahra nikalne na degi
jo rahon se bhaTke hue qafile hain
nazar aa gai hai shararon ki basti
to aksar hawaon ne pankhe jhale hain
sadaqat ke badle mein patthar milega
kahan aap shisha dikhane chale hain
'amal ki zara aur lau tez kar do
gunahon ke phaile hue qafile hain
hamein aaj hansne do 'betab' dil se
bahut der mein gham ke suraj Dhale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.