teri mahfil mein dasht-e-be-aman le kar nahin aaya
tirī mahfil meñ dasht-e-be-amāñ le kar nahīñ aaya
maiñ apne gahre sannāTe yahāñ le kar nahīñ aaya
mujhe ma.alūm thā raste meñ ghar paḌtā hai sūraj kā
magar phir bhī maiñ sar par sā.ebāñ le kar nahīñ aaya
na jaane kitnī sadiyoñ tak rahe kitnī zabānoñ par
zamīñ par maiñ adhūrī dāstāñ le kar nahīñ aaya
vahīñ par chhoḌ aaya huuñ tirī pahchān kā lamha
tire ghar se tirī parchhā.iyāñ le kar nahīñ aaya
mujhe do-gaz zamīñ hāsil nahīñ bistar bichhāne ko
use shikva ki maiñ kyoñ āsmāñ le kar nahīñ aaya
vahī ūñche shajar saaya nahīñ dete mujhe 'anjum'
maiñ jin kī aas par kaun-o-makāñ le kar nahīñ aaya
teri mahfil mein dasht-e-be-aman le kar nahin aaya
main apne gahre sannaTe yahan le kar nahin aaya
mujhe malum tha raste mein ghar paDta hai suraj ka
magar phir bhi main sar par saeban le kar nahin aaya
na jaane kitni sadiyon tak rahe kitni zabanon par
zamin par main adhuri dastan le kar nahin aaya
wahin par chhoD aaya hun teri pahchan ka lamha
tere ghar se teri parchhaiyan le kar nahin aaya
mujhe do-gaz zamin hasil nahin bistar bichhane ko
use shikwa ki main kyon aasman le kar nahin aaya
wahi unche shajar saya nahin dete mujhe 'anjum'
main jin ki aas par kaun-o-makan le kar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.