teri mahfil mein jo aata hai betabana aata hai
tirī mahfil meñ jo aatā hai betābāna aatā hai
sharār-e-sham.a ban ban kar yahāñ parvāna aatā hai
jab aatī hai to phir kab hosh dīvāne meñ aatā hai
tumhārī yaad ko bhī nāz-e-ma.ashūqāna aatā hai
ajab andāz hai saaqī liye mai-ḳhāna aatā hai
maze kā vaqt ab ai laġhzish-e-mastāna aatā hai
taḌap kar sham.a par jaise koī parvāna aatā hai
hasīnoñ par yūñhī merā dil-e-dīvāna aatā hai
na ye uudī ghaTā.eñ haiñ na saaqī taḳht pariyoñ ke
havā ke dosh par uḌtā huā mai-ḳhāna aatā hai
ye but āñkhoñ meñ phirte haiñ kidhar sajda karūñ yā-rab
haram ke sāmne mujh ko nazar but-ḳhāna aatā hai
balā merī jalā.e sham-e-mahfil jal ke kahtī hai
ḳhud apnī aag meñ jaltā huā parvāna aatā hai
mire pahlū meñ so jaao nahīñ ye vaqt jaane kā
nasīm-e-sub.h ke lab par mirā afsāna aatā hai
zabān-e-hāl se kahtī hai jal kar sham.a mahfil meñ
parā.ī aag meñ jalne ko kyoñ parvāna aatā hai
jahāñ zikr-e-vafā aaya mujhe bhī yaad karte haiñ
zabāñ par be-vafāoñ ke mirā afsāna aatā hai
ye kis be-dard ko dil kī ḳhalish kā haal likhtā huuñ
zabān-e-kilk par har harf betābāna aatā hai
junūñ-afzā havā thī kyā shabāb-e-fitna-sāmāñ kī
bahār āḳhir hai ab kuchh hosh meñ dīvāna aatā hai
basā.eñge nayā ghar bas yahī ta.abīr hai is kī
ka.ī din se hamāre ḳhvāb meñ vīrāna aatā hai
tasadduq sāġhar-e-jam bhī mire jām-e-sifālīñ par
laboñ tak mere saaqī ke yahī paimāna aatā hai
pinhāne ko kafan ahbāb laate haiñ zahe qismat
mubārak ai ajal ab ḳhil.at-e-shāhāna aatā hai
mire kaam aa ga.ī āḳhir mirī dīvāngī 'safdar'
kisī kā naaz se kahnā mirā dīvāna aatā hai
teri mahfil mein jo aata hai betabana aata hai
sharar-e-shama ban ban kar yahan parwana aata hai
jab aati hai to phir kab hosh diwane mein aata hai
tumhaari yaad ko bhi naz-e-mashuqana aata hai
ajab andaz hai saqi liye mai-KHana aata hai
maze ka waqt ab ai laghzish-e-mastana aata hai
taDap kar shama par jaise koi parwana aata hai
hasinon par yunhi mera dil-e-diwana aata hai
na ye udi ghaTaen hain na saqi taKHt pariyon ke
hawa ke dosh par uDta hua mai-KHana aata hai
ye but aankhon mein phirte hain kidhar sajda karun ya-rab
haram ke samne mujh ko nazar but-KHana aata hai
bala meri jalae sham-e-mahfil jal ke kahti hai
KHud apni aag mein jalta hua parwana aata hai
mere pahlu mein so jao nahin ye waqt jaane ka
nasim-e-subh ke lab par mera afsana aata hai
zaban-e-haal se kahti hai jal kar shama mahfil mein
parai aag mein jalne ko kyon parwana aata hai
jahan zikr-e-wafa aaya mujhe bhi yaad karte hain
zaban par be-wafaon ke mera afsana aata hai
ye kis be-dard ko dil ki KHalish ka haal likhta hun
zaban-e-kilk par har harf betabana aata hai
junun-afza hawa thi kya shabab-e-fitna-saman ki
bahaar aaKHir hai ab kuchh hosh mein diwana aata hai
basaenge naya ghar bas yahi tabir hai is ki
kai din se hamare KHwab mein virana aata hai
tasadduq saghar-e-jam bhi mere jam-e-sifalin par
labon tak mere saqi ke yahi paimana aata hai
pinhane ko kafan ahbab late hain zahe qismat
mubarak ai ajal ab KHilat-e-shahana aata hai
mere kaam aa gai aaKHir meri diwangi 'safdar'
kisi ka naz se kahna mera diwana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.