teri mahfil mein kya kya ai gul-e-gulfam milta hai
tirī mahfil meñ kyā kyā ai gul-e-gulfām miltā hai
kisī ko ashk milte haiñ kisī ko jaam miltā hai
na pūchh ai sāqiyā ham ko tujhe mil kar hai kyā miltā
nazar ko raushnī dil ko baḌā ārām miltā hai
jise hai muddatoñ DhūñDā haram meñ zāhido tum ne
hameñ to mai-kade meñ vo ḳhudā har shaam miltā hai
mile momin ko masjid meñ na bhaktoñ ko shivāle meñ
tirī mahfil meñ mai-ḳhāroñ ko jo ikrām miltā hai
shikasta hī sahī ye dil khare sone kā hai saaqī
burā kyā hai zarā socho agar be-dām miltā hai
ye baazī hai mohabbat kī usuul is ke nirāle haiñ
yahāñ jo haar jaatā hai use in'ām miltā hai
teri mahfil mein kya kya ai gul-e-gulfam milta hai
kisi ko ashk milte hain kisi ko jam milta hai
na puchh ai saqiya hum ko tujhe mil kar hai kya milta
nazar ko raushni dil ko baDa aaram milta hai
jise hai muddaton DhunDa haram mein zahido tum ne
hamein to mai-kade mein wo KHuda har sham milta hai
mile momin ko masjid mein na bhakton ko shiwale mein
teri mahfil mein mai-KHaron ko jo ikram milta hai
shikasta hi sahi ye dil khare sone ka hai saqi
bura kya hai zara socho agar be-dam milta hai
ye bazi hai mohabbat ki usul is ke nirale hain
yahan jo haar jata hai use in'am milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.