teri meri baat aksar jo KHamoshiyon mein ho gum
teri meri baat aksar jo KHamoshiyon mein ho gum
Yousuf Bin Mohammad
MORE BYYousuf Bin Mohammad
tirī merī baat aksar jo ḳhamoshiyoñ meñ ho gum
ye sukūt hai kahīñ par kabhī be-zabān ho tum
koī lā-zavāl rastoñ kī laḌī sī zindagī hai
koī rāsta mile hai koī rāsta jo ho gum
kyā kahūñ ki be-zabāñ huuñ pe khulī kitāb huuñ maiñ
mujhe paḌh sako to paḌh lo jo kabhī mujhe paḌho tum
ye akelī baat sīkhī hai hazāroñ mahfiloñ se
joñ akelī zindagī hai to akele hī raho tum
koī baat kyā kaheñge jo samajh sako samajh lo
mujhe baat kar na aa.ī vo jo sun sako suno tum
koī imtihāñ ḳhatm hai koī kaam phir shurūa hai
ye jo fursateñ haiñ pal bhar kahīñ un meñ hī jiyo tum
mirī zindagī kī bāteñ jo rahīn haiñ tumhārī
kyā gadāgarī hai merī kyā kushāda haath ho tum
teri meri baat aksar jo KHamoshiyon mein ho gum
ye sukut hai kahin par kabhi be-zaban ho tum
koi la-zawal raston ki laDi si zindagi hai
koi rasta mile hai koi rasta jo ho gum
kya kahun ki be-zaban hun pe khuli kitab hun main
mujhe paDh sako to paDh lo jo kabhi mujhe paDho tum
ye akeli baat sikhi hai hazaron mahfilon se
jon akeli zindagi hai to akele hi raho tum
koi baat kya kahenge jo samajh sako samajh lo
mujhe baat kar na aai wo jo sun sako suno tum
koi imtihan KHatm hai koi kaam phir shurua hai
ye jo fursaten hain pal bhar kahin un mein hi jiyo tum
meri zindagi ki baaten jo rahin hain tumhaari
kya gadagari hai meri kya kushada hath ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.