teri nazar ke ishaare badal bhi sakte hain
teri nazar ke ishaare badal bhi sakte hain
Ashfaq Rasheed Mansuri
MORE BYAshfaq Rasheed Mansuri
tirī nazar ke ishāre badal bhī sakte haiñ
mere nasīb ke taare badal bhī sakte haiñ
maiñ apnī naav bhañvar se nikāl laaya huuñ
magar ye Dar hai kināre badal bhī sakte haiñ
amīr-e-shahr kī taqrīr hone vaalī hai
sahar talak ye nazāre badal bhī sakte haiñ
ye daur vo hai ki ġhairoñ kā kyā kaheñ sāhab
hamāre haq meñ hamāre badal bhī sakte haiñ
teri nazar ke ishaare badal bhi sakte hain
mere nasib ke tare badal bhi sakte hain
main apni naw bhanwar se nikal laya hun
magar ye Dar hai kinare badal bhi sakte hain
amir-e-shahr ki taqrir hone wali hai
sahar talak ye nazare badal bhi sakte hain
ye daur wo hai ki ghairon ka kya kahen sahab
hamare haq mein hamare badal bhi sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.