teri nazar mein jo ye aab-o-tab baqi hai
tirī nazar meñ jo ye āb-o-tāb baaqī hai
zarūr koī to ḳhāna-ḳharāb baaqī hai
abhī azaan ke hone meñ der hai logo
abhī to jaam meñ thoḌī sharāb baaqī hai
ye zindagī kā navishta ajal ke haath aaya
gunāh ḳhatm hue ab azaab baaqī hai
lahū meñ koī harārat nahīñ rahī un ke
zabāñ pe na.ara-e-sad-inqalāb baaqī hai
abhī se aap ne kyoñ uñgliyāñ jalā Dālīñ
abhī to ḳhūn-e-jigar kā hisāb baaqī hai
ye maqbara hai bas alfāz aur ma.ānī kā
kitāb-ḳhvāñ to nahīñ hai kitāb baaqī hai
abhī to chāñd bhī baaqī hai us kī duniyā bhī
ye kaun kahtā hai bas āftāb baaqī hai
nazar har ek kī be-parda ho ga.ī jaise
diloñ meñ aaj bhī lekin hijāb baaqī hai
na tishnagī kā mudāvā use samajh 'paikar'
tirī nazar meñ jo dasht-e-sarāb baaqī hai
teri nazar mein jo ye aab-o-tab baqi hai
zarur koi to KHana-KHarab baqi hai
abhi azan ke hone mein der hai logo
abhi to jam mein thoDi sharab baqi hai
ye zindagi ka nawishta ajal ke hath aaya
gunah KHatm hue ab azab baqi hai
lahu mein koi hararat nahin rahi un ke
zaban pe nara-e-sad-inqalab baqi hai
abhi se aap ne kyon ungliyan jala Dalin
abhi to KHun-e-jigar ka hisab baqi hai
ye maqbara hai bas alfaz aur maani ka
kitab-KHwan to nahin hai kitab baqi hai
abhi to chand bhi baqi hai us ki duniya bhi
ye kaun kahta hai bas aaftab baqi hai
nazar har ek ki be-parda ho gai jaise
dilon mein aaj bhi lekin hijab baqi hai
na tishnagi ka mudawa use samajh 'paikar'
teri nazar mein jo dasht-e-sarab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.