teri nazar mein tere dil mein ghar kiya jae
tirī nazar meñ tire dil meñ ghar kiyā jaa.e
ab is ḳhayāl hī ko darguzar kiyā jaa.e
alāva ishq ke hai hī nahīñ zamāne meñ
koī bhī kaam jise umr bhar kiyā jaa.e
jo vaj.h-e-sher thī vo nazm ho chukī kab kī
mire ḳhayāl tujhe kis ke sar kiyā jaa.e
nigāh-e-ġhair se bhī dekhnā kabhī ḳhud ko
ye kaam saḳht bahut hai magar kiyā jaa.e
ḳhabar maiñ koī bhī rakhtā nahīñ huuñ ab us kī
ab is ḳhabar se use bā-ḳhabar kiyā jaa.e
teri nazar mein tere dil mein ghar kiya jae
ab is KHayal hi ko darguzar kiya jae
alawa ishq ke hai hi nahin zamane mein
koi bhi kaam jise umr bhar kiya jae
jo wajh-e-sher thi wo nazm ho chuki kab ki
mere KHayal tujhe kis ke sar kiya jae
nigah-e-ghair se bhi dekhna kabhi KHud ko
ye kaam saKHt bahut hai magar kiya jae
KHabar main koi bhi rakhta nahin hun ab us ki
ab is KHabar se use ba-KHabar kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.