teri nigah ka chubhta hua sawal mujhe
tirī nigāh kā chubhtā huā savāl mujhe
kahīñ na ġham ke samundar meñ de uchhāl mujhe
maiñ ek lamha-e-kamzor ke hisār meñ huuñ
shikastagī na kahīñ kar de pā.emāl mujhe
bikharne vaalā huuñ mausam kī garm sāñsoñ se
nihāl-e-sabz tū bāhoñ meñ ab sañbhāl mujhe
maiñ ek qatra-e-shabnam mirā vajūd hī kyā
kiran kī nok hī kar degī pā.emāl mujhe
shajar se barg-e-gul-e-zard ne kahā 'ahmar'
karam tirā ki tū samjhe sharīk-e-hāl mujhe
teri nigah ka chubhta hua sawal mujhe
kahin na gham ke samundar mein de uchhaal mujhe
main ek lamha-e-kamzor ke hisar mein hun
shikastagi na kahin kar de paemal mujhe
bikharne wala hun mausam ki garm sanson se
nihaal-e-sabz tu bahon mein ab sanbhaal mujhe
main ek qatra-e-shabnam mera wajud hi kya
kiran ki nok hi kar degi paemal mujhe
shajar se barg-e-gul-e-zard ne kaha 'ahmar'
karam tera ki tu samjhe sharik-e-haal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.