teri nigah ka ye inqalab dekha hai
tirī nigāh kā ye inqalāb dekhā hai
dil-o-nazar meñ ajab iztirāb dekhā hai
kabhī to ishq meñ ye inqalāb dekhā hai
ki apne aap ko hī be-hijāb dekhā hai
zamīn-e-shahr-e-vafā kyoñ na ho falak kā javāb
har ek zarra yahāñ āftāb dekhā hai
jo be-misāl hai duniyā meñ ishq-e-parvāna
to husn-e-sham.a ko bhī lā-javāb dekhā hai
diyā hai jis ne ḳhud apne lahū kā nazrāna
rah-e-vafā meñ use kāmyāb dekhā hai
har ek daur meñ ahl-e-sitam zalīl hue
jise bhī dekhā to ḳhāna-ḳharāb dekhā hai
nigāh-e-nāz ke andāz jānte haiñ ham
hamīñ ne raqs meñ jām-e-sharāb dekhā hai
tasavvurāt meñ rakhte haiñ ik hasīñ chehra
kisī ne ham sā bhī ahl-e-kitāb dekhā hai
ye rahnumā nahīñ rahzan haiñ daur-e-hāzir ke
kahīñ bhī tum ne inheñ kāmyāb dekhā hai
teri nigah ka ye inqalab dekha hai
dil-o-nazar mein ajab iztirab dekha hai
kabhi to ishq mein ye inqalab dekha hai
ki apne aap ko hi be-hijab dekha hai
zamin-e-shahr-e-wafa kyon na ho falak ka jawab
har ek zarra yahan aaftab dekha hai
jo be-misal hai duniya mein ishq-e-parwana
to husn-e-shama ko bhi la-jawab dekha hai
diya hai jis ne KHud apne lahu ka nazrana
rah-e-wafa mein use kaamyab dekha hai
har ek daur mein ahl-e-sitam zalil hue
jise bhi dekha to KHana-KHarab dekha hai
nigah-e-naz ke andaz jaante hain hum
hamin ne raqs mein jam-e-sharab dekha hai
tasawwuraat mein rakhte hain ek hasin chehra
kisi ne hum sa bhi ahl-e-kitab dekha hai
ye rahnuma nahin rahzan hain daur-e-hazir ke
kahin bhi tum ne inhen kaamyab dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.