teri nigah ke qabil nahin to kuchh bhi nahin
teri nigah ke qabil nahin to kuchh bhi nahin
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
tirī nigāh ke qābil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye dil ḳhudā kī qasam dil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye dard-e-dāġh ye āh-o-fuġhāñ ye soz-o-gudāz
sivā.e hasrat-e-hāsil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo girya-e-saharī ho ki āh-e-nīm-shabī
harīf-e-matlab-e-mushkil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tire rukū-o-sujūd aur tire qiyām-o-qu.ūd
huzūr-e-qalb ke hāmil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye iztirāb ye zauq-e-yaqīñ ye shauq-e-amal
dalīl-e-zindagī-e-dil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
taġhayyurāt-e-musalsal havādis-e-paiham
tamām umr kā hāsil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye jabr-o-qadr-e-mashiyyat ye quvvat-e-fitrat
ba-qadr-e-hausla-e-dil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye ārzū-e-musalsal ye justujū-e-mudām
nishān-e-jazba-e-manzil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
jise zabān-e-mohabbat meñ tuur kahte haiñ
vo dil agar tirī manzil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tire baġhair to firdaus bhī jahannum hai
bahisht agar tirī mahfil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tajalliyāt-e-mohabbat meñ Duub kar 'anvar'
ze-farq-tā-ba-qadam dil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
teri nigah ke qabil nahin to kuchh bhi nahin
ye dil KHuda ki qasam dil nahin to kuchh bhi nahin
ye dard-e-dagh ye aah-o-fughan ye soz-o-gudaz
siwae hasrat-e-hasil nahin to kuchh bhi nahin
wo girya-e-sahari ho ki aah-e-nim-shabi
harif-e-matlab-e-mushkil nahin to kuchh bhi nahin
tere ruku-o-sujud aur tere qiyam-o-quud
huzur-e-qalb ke hamil nahin to kuchh bhi nahin
ye iztirab ye zauq-e-yaqin ye shauq-e-amal
dalil-e-zindagi-e-dil nahin to kuchh bhi nahin
taghayyuraat-e-musalsal hawadis-e-paiham
tamam umr ka hasil nahin to kuchh bhi nahin
ye jabr-o-qadr-e-mashiyyat ye quwwat-e-fitrat
ba-qadr-e-hausla-e-dil nahin to kuchh bhi nahin
ye aarzu-e-musalsal ye justuju-e-mudam
nishan-e-jazba-e-manzil nahin to kuchh bhi nahin
jise zaban-e-mohabbat mein tur kahte hain
wo dil agar teri manzil nahin to kuchh bhi nahin
tere baghair to firdaus bhi jahannum hai
bahisht agar teri mahfil nahin to kuchh bhi nahin
tajalliyat-e-mohabbat mein Dub kar 'anwar'
ze-farq-ta-ba-qadam dil nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.