teri nigah mein ek shakl de raha hai mujhe
tirī nigāh meñ ik shakl de rahā hai mujhe
mirā hī aks mirī naql de rahā hai mujhe
maiñ ek tīsrī duniyā meñ mubtalā huuñ kahīñ
tū do-jahāñ kī kahāñ aql de rahā hai mujhe
maiñ ik ḳhayāl ke sahrā kī pyaas huuñ jaise
koī sarāb tirī shakl de rahā hai mujhe
zamīn-e-dil pe muqaddar ne hijr boyā thā
jo ġham kī roz na.ī fasl de rahā hai mujhe
tire ḳhayāl pas-e-rūh le ga.e mujh ko
ye jism phir bhī vahāñ daḳhl de rahā hai mujhe
guzar hī jā.egī har shai yahī haqīqat hai
vo ye dalīl pas-e-qatl de rahā hai mujhe
ye 'arsh' zulm hai tanhā.ī ke musāfir par
ye chāñd ḳhvāb-e-shab-e-vasl de rahā hai mujhe
teri nigah mein ek shakl de raha hai mujhe
mera hi aks meri naql de raha hai mujhe
main ek tisri duniya mein mubtala hun kahin
tu do-jahan ki kahan aql de raha hai mujhe
main ek KHayal ke sahra ki pyas hun jaise
koi sarab teri shakl de raha hai mujhe
zamin-e-dil pe muqaddar ne hijr boya tha
jo gham ki roz nai fasl de raha hai mujhe
tere KHayal pas-e-ruh le gae mujh ko
ye jism phir bhi wahan daKHl de raha hai mujhe
guzar hi jaegi har shai yahi haqiqat hai
wo ye dalil pas-e-qatl de raha hai mujhe
ye 'arsh' zulm hai tanhai ke musafir par
ye chand KHwab-e-shab-e-wasl de raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.