teri rahmaton ka talib mujhe aas tere dar se
tirī rahmatoñ kā tālib mujhe aas tere dar se
ye qadam bahak na jaa.e mirī muflisī ke Dar se
hai tavañgaroñ kā mela tū ġharīb hai akelā
tirā dil na TuuT jaa.e tū abhī na jā udhar se
ka.ī jaam ḳhālī karke vo abhī bhī hosh meñ haiñ
maiñ nashe meñ huuñ qasam se maiñ ne pī jo lī nazar se
use ḳhauf ne kināre pe pahuñchne na diyā thā
mujhe mil gayā thā sāhil mire hausloñ ke Dar se
nahīñ barg-o-gul haiñ jin par vahī tan ke sab khaḌe haiñ
vo shajar to faiz vaalā hai jhukā huā samar se
mire ġham-gusār tujh ko tirī rahbarī mubārak
maiñ ḳhud apnā rahnumā huuñ mujhe kaam hai safar se
teri rahmaton ka talib mujhe aas tere dar se
ye qadam bahak na jae meri muflisi ke Dar se
hai tawangaron ka mela tu gharib hai akela
tera dil na TuT jae tu abhi na ja udhar se
kai jam KHali karke wo abhi bhi hosh mein hain
main nashe mein hun qasam se main ne pi jo li nazar se
use KHauf ne kinare pe pahunchne na diya tha
mujhe mil gaya tha sahil mere hauslon ke Dar se
nahin barg-o-gul hain jin par wahi tan ke sab khaDe hain
wo shajar to faiz wala hai jhuka hua samar se
mere gham-gusar tujh ko teri rahbari mubarak
main KHud apna rahnuma hun mujhe kaam hai safar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.