teri sada-dili ka aaina hun
tirī sāda-dilī kā aa.ina huuñ
ki apnā aap arpan kar chukā huuñ
maiñ apne jism par bārūd bāñdhe
tumhārī raah meñ kab se khaḌā huuñ
pareshāñ karne vaale mīThe ḳhvābo
abhī kuchh der Thahro so rahā huuñ
zarā dekho maiñ ik kachhve kī sūrat
ḳhud apne ḳhol ke andar chhupā huuñ
kisī phaldār Tahnī kī tarah ab
maiñ apne bojh se hī jhuk gayā huuñ
tirī dahlīz par sadiyoñ se yūñhī
maiñ saarī raat jaltā huuñ diyā huuñ
maiñ kis kis ko javāban 'arz kar luuñ
ki anjām-e-mohabbat jāntā huuñ
mirī har baat ko rad kar chukā hai
maiñ munsif ko du'ā.eñ bhejtā huuñ
merī niyyat hī 'īraj' saaf kab hai
na insāñ huuñ na hī insāñ-numā huuñ
teri sada-dili ka aaina hun
ki apna aap arpan kar chuka hun
main apne jism par barud bandhe
tumhaari rah mein kab se khaDa hun
pareshan karne wale miThe KHwabo
abhi kuchh der Thahro so raha hun
zara dekho main ek kachhwe ki surat
KHud apne KHol ke andar chhupa hun
kisi phaldar Tahni ki tarah ab
main apne bojh se hi jhuk gaya hun
teri dahliz par sadiyon se yunhi
main sari raat jalta hun diya hun
main kis kis ko jawaban 'arz kar lun
ki anjam-e-mohabbat jaanta hun
meri har baat ko rad kar chuka hai
main munsif ko du'aen bhejta hun
meri niyyat hi 'iraj' saf kab hai
na insan hun na hi insan-numa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.