teri sadgi tera bankpan teri KHamushi bhi jamal hai

teri sadgi tera bankpan teri KHamushi bhi jamal hai
Salahuddin Ayyub
MORE BYSalahuddin Ayyub
tirī sādgī tirā bāñkpan tirī ḳhāmushī bhī jamāl hai
tujhe mere ġham kā pata nahīñ mujhe bas yahī to malāl hai
kabhī shahr-e-dil ke hujūm meñ yuuñ hī be-sabab jo tū aa gayā
na tujhe kisī kī bhī fikr hai na kisī ko terā ḳhayāl hai
tirā zikr hai tirī dhuum hai tujhe dekhne ko hujūm hai
mire sāmne tirā naam le ye kahāñ kisī kī majāl hai
ye jo sard sard usuul haiñ inheñ garmiyoñ meñ havā na de
mirī bebasī ko samajh zarā ye aziyyatoñ kā visāl hai
na mile kabhī na judā hue yuuñ hī jī liye yuuñ hī mar ga.e
ye kahīñ jahāñ meñ huā nahīñ ye to bas hamārā kamāl hai
teri sadgi tera bankpan teri KHamushi bhi jamal hai
tujhe mere gham ka pata nahin mujhe bas yahi to malal hai
kabhi shahr-e-dil ke hujum mein yun hi be-sabab jo tu aa gaya
na tujhe kisi ki bhi fikr hai na kisi ko tera KHayal hai
tera zikr hai teri dhum hai tujhe dekhne ko hujum hai
mere samne tera nam le ye kahan kisi ki majal hai
ye jo sard sard usul hain inhen garmiyon mein hawa na de
meri bebasi ko samajh zara ye aziyyaton ka visal hai
na mile kabhi na juda hue yun hi ji liye yun hi mar gae
ye kahin jahan mein hua nahin ye to bas hamara kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.