teri shikast ka elan to nahin karenge
tirī shikast kā e'lān to nahīñ kareñge
jo terā kaam hai darbān to nahīñ kareñge
siyāh-rāt ke āñgan meñ kuud kar ham log
diye jalā.eñge nuqsān to nahīñ kareñge
maiñ apnī zaat kī hairat-sarā se guzrā huuñ
ye tajrabe mujhe hairān to nahīñ kareñge
ye Thiik hai ki zarūrī hai kār-e-girya bhī
magar ye hijr ke daurān to nahīñ kareñge
ye sochnā thā tumheñ dā.ere banāte hue
ye pech tum ko pareshān to nahīñ kareñge
'zahīr' us kī ragoñ ko lahū pilā kar ham
zamīn par koī ehsān to nahīñ kareñge
teri shikast ka e'lan to nahin karenge
jo tera kaam hai darban to nahin karenge
siyah-raat ke aangan mein kud kar hum log
diye jalaenge nuqsan to nahin karenge
main apni zat ki hairat-sara se guzra hun
ye tajrabe mujhe hairan to nahin karenge
ye Thik hai ki zaruri hai kar-e-girya bhi
magar ye hijr ke dauran to nahin karenge
ye sochna tha tumhein daere banate hue
ye pech tum ko pareshan to nahin karenge
'zahir' us ki ragon ko lahu pila kar hum
zamin par koi ehsan to nahin karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.