teri shikast ka harba talash karte hain
teri shikast ka harba talash karte hain
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
tirī shikast kā harba talāsh karte haiñ
tujhe nahīñ tire jaisā talāsh karte haiñ
charāġh phuul shagūfa dhanak sitāra chāñd
ham ahl-e-zauq bhī kyā kyā talāsh karte haiñ
sunā hai jab se ki ḳhushiyoñ kā e.atibār nahīñ
ġhamoñ ko lamha-ba-lamha talāsh karte haiñ
haiñ ramz-e-azmat-e-tishna-labī se ham vāqif
ho pahra jis pe vo dariyā talāsh karte haiñ
vo jis ko dekh ke hiss-e-latīf jaag uThe
vahī badan vahī chehra talāsh karte haiñ
sukūt-e-zāt kā sannāTā ab shabāb pe hai
ham ek chāhne vaalā talāsh karte haiñ
vahī ki saaya thā jis kā na koī saanī thā
vo nuur nuur sarāpā talāsh karte haiñ
unheñ milī hai virāsat meñ sabr kī tahzīb
jo dard meñ hī mudāvā talāsh karte haiñ
teri shikast ka harba talash karte hain
tujhe nahin tere jaisa talash karte hain
charagh phul shagufa dhanak sitara chand
hum ahl-e-zauq bhi kya kya talash karte hain
suna hai jab se ki KHushiyon ka eatibar nahin
ghamon ko lamha-ba-lamha talash karte hain
hain ramz-e-azmat-e-tishna-labi se hum waqif
ho pahra jis pe wo dariya talash karte hain
wo jis ko dekh ke hiss-e-latif jag uThe
wahi badan wahi chehra talash karte hain
sukut-e-zat ka sannaTa ab shabab pe hai
hum ek chahne wala talash karte hain
wahi ki saya tha jis ka na koi sani tha
wo nur nur sarapa talash karte hain
unhen mili hai wirasat mein sabr ki tahzib
jo dard mein hi mudawa talash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.