teri surat se mere dil ki hairani nahin jati
Interesting Fact
(December 1939) (Musharia, Municipal Committee, Delhi)
tirī sūrat se mere dil kī hairānī nahīñ jaatī
ki ye pahchān lene par bhī pahchānī nahīñ jaatī
ba-rañg-e-shama-e-sozāñ- sho.ala-samānī nahīñ jaatī
pas-e-parda bhī terī shān-e-uryānī nahīñ jaatī
dil-e-nākām-e-armāñ kī pareshānī nahīñ jaatī
ki jaise tishna-lab kī pyaas be-pānī nahīñ jaatī
yaqīñ aajiz hai tujh se kyā Thikānā terī hastī kā
kahīñ samjhī nahīñ jaatī kahīñ jaanī nahīñ jaatī
ḳhatā hone se merī aabrū meñ farq aatā hai
sazā dene se terī shān-e-rahmānī nahīñ jaatī
bane kyā ḳhaak duniyā-e-tasavvur rañg-o-roġhan se
yahāñ bahzād aur maanī kī bhī maanī nahīñ jaatī
ḳhalish sī ik hai dil meñ aañkh meñ ashk-e-nadāmat haiñ
gunahgāroñ kī is par bhī pashemānī nahīñ jaatī
duā ik lafz-e-be-ma.anī amal ik sa.i-e-lā-hāsil
agar tadbīr se tahrīr-e-peshānī nahīñ jaatī
fanā hote nahīñ insāñ ke jauhar tīra-baḳhtī meñ
shab-e-tārīk meñ tāroñ kī tābānī nahīñ jaatī
nahīñ marte jo apnī aan ke sadqe utarte haiñ
shahīdoñ kī kabhī be-kār qurbānī nahīñ jaatī
kahāñ jam.īyat-e-ḳhātir riyāz-e-dahr meñ 'tālib'
misāl-e-bū-e-gul apnī pareshānī nahīñ jaatī
teri surat se mere dil ki hairani nahin jati
ki ye pahchan lene par bhi pahchani nahin jati
ba-rang-e-shama-e-sozan- shoala-samani nahin jati
pas-e-parda bhi teri shan-e-uryani nahin jati
dil-e-nakaam-e-arman ki pareshani nahin jati
ki jaise tishna-lab ki pyas be-pani nahin jati
yaqin aajiz hai tujh se kya Thikana teri hasti ka
kahin samjhi nahin jati kahin jaani nahin jati
KHata hone se meri aabru mein farq aata hai
saza dene se teri shan-e-rahmani nahin jati
bane kya KHak duniya-e-tasawwur rang-o-roghan se
yahan bahzad aur mani ki bhi mani nahin jati
KHalish si ek hai dil mein aankh mein ashk-e-nadamat hain
gunahgaron ki is par bhi pashemani nahin jati
dua ek lafz-e-be-mani amal ek sai-e-la-hasil
agar tadbir se tahrir-e-peshani nahin jati
fana hote nahin insan ke jauhar tira-baKHti mein
shab-e-tarik mein taron ki tabani nahin jati
nahin marte jo apni aan ke sadqe utarte hain
shahidon ki kabhi be-kar qurbani nahin jati
kahan jamiyat-e-KHatir riyaz-e-dahr mein 'talib'
misal-e-bu-e-gul apni pareshani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.