teri tahaarat ko shaiKH kah tu kahan se laen ek aab-e-ju hum
teri tahaarat ko shaiKH kah tu kahan se laen ek aab-e-ju hum
Joshish Azimabadi
MORE BYJoshish Azimabadi
tirī tahārat ko shaiḳh kah tū kahāñ se laa.eñ ik āb-e-jū ham
tavāf-e-dil kā hai qasd ham ko kareñ haiñ aañsū se nit vazū ham
ba-tañg aa.e haiñ zindagī se raheñge ḳhauf-e-fanā meñ kab tak
jo honī ho so shitāb hove khaḌe haiñ qātil ke rū-ba-rū ham
rakhe tū jab tak jahāñ meñ yā-rab tire karam se umiid ye hai
rahe na mutlaq talāsh-e-daulat kareñ na duniyā kī justujū ham
ḳhizāñ ne sab kī bahār kho dī rahā na sumbul bachī na raihāñ
guloñ ko dekhā hue pareshāñ chaman se nikle ba-rañg-e-bū ham
ġham-o-alam ne to kar rakhā hai hamāre chehre ko zard 'joshish'
lahū ke aañsū agar na ro.eñ na hoñ mohabbat meñ surḳh-rū ham
teri tahaarat ko shaiKH kah tu kahan se laen ek aab-e-ju hum
tawaf-e-dil ka hai qasd hum ko karen hain aansu se nit wazu hum
ba-tang aae hain zindagi se rahenge KHauf-e-fana mein kab tak
jo honi ho so shitab howe khaDe hain qatil ke ru-ba-ru hum
rakhe tu jab tak jahan mein ya-rab tere karam se umid ye hai
rahe na mutlaq talash-e-daulat karen na duniya ki justuju hum
KHizan ne sab ki bahaar kho di raha na sumbul bachi na raihan
gulon ko dekha hue pareshan chaman se nikle ba-rang-e-bu hum
gham-o-alam ne to kar rakha hai hamare chehre ko zard 'joshish'
lahu ke aansu agar na roen na hon mohabbat mein surKH-ru hum
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.