teri talash mein bhaTka hun dar-ba-dar jaanan
tirī talāsh meñ bhaTkā huuñ dar-ba-dar jānāñ
maiñ tujh ko bhuul na pā.ūñgā umr bhar jānāñ
nahīñ hai tujh se kisī taur bhī mafar jānāñ
hai tū hī qātil-e-dil tū hī chārāgar jānāñ
mirī talāsh mirī aarzū mirī chāhat
tirā jamāl tirā qurb-e-mo'atabar jānāñ
ye āñkheñ tere hī jalvoñ kī haiñ amiiñ be-shak
ye dil hai terī mohabbat kā mustaqar jānāñ
nazar meñ tū hai ḳhayāloñ meñ tū hai dil meñ tū
maiñ kab huā tirī jānib se be-ḳhabar jānāñ
tirī hī yaad ne mahkā.e merī ruuh meñ zaḳhm
tire sabab se hai ḳhushbū kā ye safar jānāñ
hasīn yādoñ kā ik silsila thā TuuT gayā
fazā meñ gūñjā jab āvāza-e-gajar jānāñ
teri talash mein bhaTka hun dar-ba-dar jaanan
main tujh ko bhul na paunga umr bhar jaanan
nahin hai tujh se kisi taur bhi mafar jaanan
hai tu hi qatil-e-dil tu hi chaaragar jaanan
meri talash meri aarzu meri chahat
tera jamal tera qurb-e-mo'atabar jaanan
ye aankhen tere hi jalwon ki hain amin be-shak
ye dil hai teri mohabbat ka mustaqar jaanan
nazar mein tu hai KHayalon mein tu hai dil mein tu
main kab hua teri jaanib se be-KHabar jaanan
teri hi yaad ne mahkae meri ruh mein zaKHm
tere sabab se hai KHushbu ka ye safar jaanan
hasin yaadon ka ek silsila tha TuT gaya
faza mein gunja jab aawaza-e-gajar jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.