teri talash mein hum dushmanon mein baiTh gae
tirī talāsh meñ ham dushmanoñ meñ baiTh ga.e
usī galī meñ unhīñ rāstoñ meñ baiTh ga.e
mirā zamīr mujhe roktā rahā āḳhir
vo ghar se nikle hī the sarhadoñ meñ baiTh ga.e
vo chalte chalte jo girnā sikhā rahe the mujhe
vo aa ke logoñ kī baisākhiyoñ meñ baiTh ga.e
hamāre paas to tā-zindagī rahegā hunar
jo kam-hunar the vo bāzīgaroñ meñ baiTh ga.e
kabhī kā chhoḌ diyā thā unhoñ ne duniyā ko
sabhī ko chhoḌ ke saudāgaroñ meñ baiTh ga.e
teri talash mein hum dushmanon mein baiTh gae
usi gali mein unhin raston mein baiTh gae
mera zamir mujhe rokta raha aaKHir
wo ghar se nikle hi the sarhadon mein baiTh gae
wo chalte chalte jo girna sikha rahe the mujhe
wo aa ke logon ki baisakhiyon mein baiTh gae
hamare pas to ta-zindagi rahega hunar
jo kam-hunar the wo bazigaron mein baiTh gae
kabhi ka chhoD diya tha unhon ne duniya ko
sabhi ko chhoD ke saudagaron mein baiTh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.