teri tanhai ka dukh aashkara ho raha hai
tirī tanhā.ī kā dukh āshkārā ho rahā hai
bichhaḌtī sā.atoñ meñ tū hamārā ho rahā hai
hisāb-e-dostāñ dar-dil agar hai to na jaane
yahāñ ab kyā murattab goshvārā ho rahā hai
azāb-e-maslahat kī qaid meñ haiñ log aur tū
samajhtā hai yahāñ sab kā guzārā ho rahā hai
kahīñ se ik kaḌī gum hai hamārī guftugū meñ
ba-zāhir to ye dukh tarsīl saarā ho rahā hai
agar koī nahīñ hai aa.ine ke paar 'shahzād'
to phir ye kaun ham par āshkārā ho rahā hai
teri tanhai ka dukh aashkara ho raha hai
bichhaDti saaton mein tu hamara ho raha hai
hisab-e-dostan dar-dil agar hai to na jaane
yahan ab kya murattab goshwara ho raha hai
azab-e-maslahat ki qaid mein hain log aur tu
samajhta hai yahan sab ka guzara ho raha hai
kahin se ek kaDi gum hai hamari guftugu mein
ba-zahir to ye dukh tarsil sara ho raha hai
agar koi nahin hai aaine ke par 'shahzad'
to phir ye kaun hum par aashkara ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.