teri tarz-e-sitam ko humne ishrat-afrin paya
tirī tarz-e-sitam ko ham ne ishrat-āfrīñ paayā
jahannam-zār ko bhī ġhairat-e-ḳhuld-e-barīñ paayā
zahe qismat jagah paa.ī jo maiñ ne terī mahfil meñ
Thikāna ḳhaak ne go ki sar-e-arsh-e-barīñ paayā
tire jalvoñ ne baḳhshī merī nazroñ ko vo rangīnī
riyāz-e-dahr kī har chiiz ko maiñ ne hasīñ paayā
niyāz-e-sajda-e-ulfat kī qaa.il kyoñ na ho duniyā
tire har naqsh-e-pā-e-nāz par naqsh-e-jabīñ paayā
sanam-ḳhānoñ kī tasvīroñ meñ duniyā ne bahut DhūñDā
shabīh-e-nāz ko ham ne 'musavvir' dil-nashīñ paayā
teri tarz-e-sitam ko hum ne ishrat-afrin paya
jahannam-zar ko bhi ghairat-e-KHuld-e-barin paya
zahe qismat jagah pai jo main ne teri mahfil mein
Thikana KHak ne go ki sar-e-arsh-e-barin paya
tere jalwon ne baKHshi meri nazron ko wo rangini
riyaz-e-dahr ki har chiz ko main ne hasin paya
niyaz-e-sajda-e-ulfat ki qail kyon na ho duniya
tere har naqsh-e-pa-e-naz par naqsh-e-jabin paya
sanam-KHanon ki taswiron mein duniya ne bahut DhunDa
shabih-e-naz ko hum ne 'musawwir' dil-nashin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.