teri umidon ka sath degi inayat-e-barg-o-bar kab tak
tirī umīdoñ kā saath degī ināyat-e-barg-o-bār kab tak
bahār hai mehrbān tujh par magar rahegī bahār kab tak
jalā.ī tū ne agar na mash.al koī charāġh aur DhūñD leñge
jinheñ zarūrat hai raushnī kī kareñge vo intizār kab tak
ḳhayāl-e-tausī.a o rif.at-e-bām-o-dar kī ḳhvāhish bajā hai lekin
makān kā bojh sah sakegī binā-e-nā-pā.edār kab tak
tujhe gumāñ hai ki ḳhvāb tere shikast se māvarā haiñ shāyad
tujhe bachā.egā sañg-bārī se ā.inoñ kā hisār kab tak
kabhī to gulzār bārishoñ se chaman kā māhaul saaf hogā
fazā meñ phailā.egā kudūrat havā se uḌtā ġhubār kab tak
teri umidon ka sath degi inayat-e-barg-o-bar kab tak
bahaar hai mehrban tujh par magar rahegi bahaar kab tak
jalai tu ne agar na mashal koi charagh aur DhunD lenge
jinhen zarurat hai raushni ki karenge wo intizar kab tak
KHayal-e-tausia o rifat-e-baam-o-dar ki KHwahish baja hai lekin
makan ka bojh sah sakegi bina-e-na-paedar kab tak
tujhe guman hai ki KHwab tere shikast se mawara hain shayad
tujhe bachaega sang-bari se aainon ka hisar kab tak
kabhi to gulzar barishon se chaman ka mahaul saf hoga
faza mein phailaega kudurat hawa se uDta ghubar kab tak
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 230)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.