teri yaaden hain aur tanhaiyan hain
tirī yādeñ haiñ aur tanhā.iyāñ haiñ
ġhazab kī anjuman-ārā.iyāñ haiñ
kahāñ ham aur kahāñ ye lazzat-e-ġham
ye sab terī karam-farmā.iyāñ haiñ
mahaktī hai tirī sāñsoñ kī ḳhushbū
jahāñ tak ruuh kī gahrā.iyāñ haiñ
maiñ rāh-e-shauq meñ tanhā nahīñ huuñ
mire hamrāh kuchh parchhā.iyāñ haiñ
sar-e-shām aaj kyoñ niiñd aa rahī hai
ye kis kī yaad kī purvā.iyāñ haiñ
ab is ehsās ko kyā naam diije
bharī mahfil hai aur tanhā.iyāñ haiñ
vahāñ TuuTe hue dil bhī mileñge
jahāñ bhī anjuman-ārā.iyāñ haiñ
kabhī dekhā thā ham ne 'shān' un ko
matā-e-dil vahī ra.anā.iyāñ haiñ
teri yaaden hain aur tanhaiyan hain
ghazab ki anjuman-araiyan hain
kahan hum aur kahan ye lazzat-e-gham
ye sab teri karam-farmaiyan hain
mahakti hai teri sanson ki KHushbu
jahan tak ruh ki gahraiyan hain
main rah-e-shauq mein tanha nahin hun
mere hamrah kuchh parchhaiyan hain
sar-e-sham aaj kyon nind aa rahi hai
ye kis ki yaad ki purwaiyan hain
ab is ehsas ko kya nam dije
bhari mahfil hai aur tanhaiyan hain
wahan TuTe hue dil bhi milenge
jahan bhi anjuman-araiyan hain
kabhi dekha tha hum ne 'shan' un ko
mata-e-dil wahi ranaiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.