teri yaaden hain dil mein phir bhi virani si rahti hai
tirī yādeñ haiñ dil meñ phir bhī vīrānī sī rahtī hai
ḳhudā jaane ajab lāhaq pareshānī sī rahtī hai
badan par laakh kapḌe hoñ magar phir bhī barahna hai
agar insāñ ke zehn-o-dil meñ uryānī sī rahtī hai
yahī achchhā hai insāñ ke liye insāñ kā dil rakhnā
dukhāne se kisī kā dil pashemānī sī rahtī hai
ḳhirad-mandī zamāne meñ ajab e.ajāz rakhtī hai
maiñ jab bhī sochtā huuñ ghanToñ hairānī sī rahtī hai
maiñ tanhā huuñ magar ehsās-e-tanhā.ī nahīñ mujh ko
ki dil meñ ek sūrat jānī-pahchānī sī rahtī hai
kabhī ai kaash vo mil jaa.e mujh ko aisā ho jaa.e
tamanna mere dil meñ ek anjānī sī rahtī hai
mujhe 'shahzād' terī dostī se Dar sā lagtā hai
tirī āñkhoñ meñ poshīda jo nādānī sī rahtī hai
teri yaaden hain dil mein phir bhi virani si rahti hai
KHuda jaane ajab lahaq pareshani si rahti hai
badan par lakh kapDe hon magar phir bhi barahna hai
agar insan ke zehn-o-dil mein uryani si rahti hai
yahi achchha hai insan ke liye insan ka dil rakhna
dukhane se kisi ka dil pashemani si rahti hai
KHirad-mandi zamane mein ajab eajaz rakhti hai
main jab bhi sochta hun ghanTon hairani si rahti hai
main tanha hun magar ehsas-e-tanhai nahin mujh ko
ki dil mein ek surat jaani-pahchani si rahti hai
kabhi ai kash wo mil jae mujh ko aisa ho jae
tamanna mere dil mein ek anjaani si rahti hai
mujhe 'shahzad' teri dosti se Dar sa lagta hai
teri aankhon mein poshida jo nadani si rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.