teri yaadon ka mahshar khinchte hain
tirī yādoñ kā mahshar khīñchte haiñ
chalo phir din kā chakkar khīñchte haiñ
saverā aan baiThā hai saroñ par
uTho phir shab kī chādar khīñchte haiñ
hamārī pyaas misl-e-dasht-o-sahrā
ham āñkhoñ se samundar khīñchte haiñ
yahāñ har sū samāñ hai jashn kā sā
magar ham ġham barābar khīñchte haiñ
tirī mai kī nahīñ ye baat saaqī
hameñ apne hī tevar khīñchte haiñ
hameñ kab raas ḳhushkī ke jazīre
chal uTh jā dost lañgar khīñchte haiñ
teri yaadon ka mahshar khinchte hain
chalo phir din ka chakkar khinchte hain
sawera aan baiTha hai saron par
uTho phir shab ki chadar khinchte hain
hamari pyas misl-e-dasht-o-sahra
hum aankhon se samundar khinchte hain
yahan har su saman hai jashn ka sa
magar hum gham barabar khinchte hain
teri mai ki nahin ye baat saqi
hamein apne hi tewar khinchte hain
hamein kab ras KHushki ke jazire
chal uTh ja dost langar khinchte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.