teri yaadon ka pahra ho gaya hai
tirī yādoñ kā pahra ho gayā hai
zehen meñ phir saverā ho gayā hai
mirī jaañ ye to merāj-e-vafā hai
ki terā 'aks merā ho gayā hai
mirī pahchān saarī miT chukī hai
ye chehra kis kā chehra ho gayā hai
na jaane aaj kyā biitī falak par
samundar surḳh gahrā ho gayā hai
nahīñ milte haiñ mere dast-o-pā tak
ye kaisā ghup añdherā ho gayā hai
farishtoñ saare aivānoñ meñ kah do
ki is jogī kā pherā ho gayā hai
'nasīm-ajmal' ḳhalāoñ meñ nikal jā
ki jīvan ek gherā ho gayā hai
teri yaadon ka pahra ho gaya hai
zehen mein phir sawera ho gaya hai
meri jaan ye to meraj-e-wafa hai
ki tera 'aks mera ho gaya hai
meri pahchan sari miT chuki hai
ye chehra kis ka chehra ho gaya hai
na jaane aaj kya biti falak par
samundar surKH gahra ho gaya hai
nahin milte hain mere dast-o-pa tak
ye kaisa ghup andhera ho gaya hai
farishton sare aiwanon mein kah do
ki is jogi ka phera ho gaya hai
'nasim-ajmal' KHalaon mein nikal ja
ki jiwan ek ghera ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.