teri yaadon ke sae mein hamare din guzarte hain
teri yaadon ke sae mein hamare din guzarte hain
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
tirī yādoñ ke saa.e meñ hamāre din guzarte haiñ
tujhe ham chāhte the kal tujhī pe aaj marte haiñ
mohabbat kā ye rishta toḌnā āsāñ nahīñ hargiz
magar hālāt kī bāzīgarī se ham bhī Darte haiñ
ye bādal bhī guzar jaate haiñ sahrāoñ se bin barse
magar sarsabz vaadī meñ ye be-mausam baraste haiñ
hamāre vāste bād-e-sabā ban kar vo aa.egā
yahī armāñ liye gin gin ke taare sub.h karte haiñ
isī ummīd par har mausam-e-gul ko sadā.eñ diiñ
na-jāne kab hamārī zindagī ke din sañvarte haiñ
'majīd' āsāñ nahīñ hai un ke va.adoñ kā vafā honā
jo ḳhushbū kī tarah uḌ kar fazāoñ meñ bikharte haiñ
teri yaadon ke sae mein hamare din guzarte hain
tujhe hum chahte the kal tujhi pe aaj marte hain
mohabbat ka ye rishta toDna aasan nahin hargiz
magar haalat ki bazigari se hum bhi Darte hain
ye baadal bhi guzar jate hain sahraon se bin barse
magar sarsabz wadi mein ye be-mausam baraste hain
hamare waste baad-e-saba ban kar wo aaega
yahi arman liye gin gin ke tare subh karte hain
isi ummid par har mausam-e-gul ko sadaen din
na-jaane kab hamari zindagi ke din sanwarte hain
'majid' aasan nahin hai un ke wadon ka wafa hona
jo KHushbu ki tarah uD kar fazaon mein bikharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.