teri zat se main wafa chahta hun
tirī zaat se maiñ vafā chāhtā huuñ
maiñ terī hamesha baqā chāhtā huuñ
bahut tere nāz-o-adā maiñ ne dekhe
na.e naaz ab dekhnā chāhtā huuñ
mire sāmne jān-e-jāñ tum raho bas
maiñ is ke sivā aur kyā chāhtā huuñ
sharāb-e-mohabbat se maḳhmūr ho kar
maiñ din-rāt tujh se milā chāhtā huuñ
kināra hai nāpaid mauj-e-jafā hai
maiñ mauj-e-jafā se bachā chāhtā huuñ
baḌhā dard merā hai had se ziyāda
maiñ be-dard tujh se davā chāhtā huuñ
tum aa.e ga.e barq ban kar mire ghar
maiñ har dam tumheñ dekhnā chāhtā huuñ
jamā kar nazar tum ko taakā hai paiham
''baḌā be-adab huuñ sazā chāhtā hūñ''
tamanna hai 'ahqar' banūñ maiñ bhī shā.ir
maiñ hassān-sābit banā chāhtā huuñ
teri zat se main wafa chahta hun
main teri hamesha baqa chahta hun
bahut tere naz-o-ada main ne dekhe
nae naz ab dekhna chahta hun
mere samne jaan-e-jaan tum raho bas
main is ke siwa aur kya chahta hun
sharab-e-mohabbat se maKHmur ho kar
main din-raat tujh se mila chahta hun
kinara hai napaid mauj-e-jafa hai
main mauj-e-jafa se bacha chahta hun
baDha dard mera hai had se ziyaada
main be-dard tujh se dawa chahta hun
tum aae gae barq ban kar mere ghar
main har dam tumhein dekhna chahta hun
jama kar nazar tum ko taka hai paiham
baDa be-adab hun saza chahta hun
tamanna hai 'ahqar' banun main bhi shair
main hassan-sabit bana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.