teri zamin mein mohabbat ke bij bo na sakun
tirī zamīñ meñ mohabbat ke biij bo na sakūñ
tū mil bhī jaa.e to shāyad maiñ terā ho na sakūñ
ġham-e-hayāt tū chupke se ḳhud-kushī kar le
maiñ apne hāthoñ se shāyad tujhe Dubo na sakūñ
tamām ashk kisī aur kī amānat haiñ
agar maiñ ronā bhī chāhūñ to khul ke ro na sakūñ
ye bevafā.ī to pahle se mere dhyān meñ thī
vo daaġh de ki jise 'umr-bhar maiñ dho na sakūñ
tamām din tujhe DhūñDhuñ tirā pata na chale
tamām raat isī ranj meñ maiñ so na sakūñ
tū apnā ġham bhī mujhe de ki raat dhul jaa.e
maiñ apnī āñkhoñ se mumkin hai itnā ro na sakūñ
'shakīl' us ko kisī nazm meñ likhūñgā kabhī
ġhazal kī aañkh meñ shāyad use piro na sakūñ
teri zamin mein mohabbat ke bij bo na sakun
tu mil bhi jae to shayad main tera ho na sakun
gham-e-hayat tu chupke se KHud-kushi kar le
main apne hathon se shayad tujhe Dubo na sakun
tamam ashk kisi aur ki amanat hain
agar main rona bhi chahun to khul ke ro na sakun
ye bewafai to pahle se mere dhyan mein thi
wo dagh de ki jise 'umr-bhar main dho na sakun
tamam din tujhe DhunDhun tera pata na chale
tamam raat isi ranj mein main so na sakun
tu apna gham bhi mujhe de ki raat dhul jae
main apni aankhon se mumkin hai itna ro na sakun
'shakil' us ko kisi nazm mein likhunga kabhi
ghazal ki aankh mein shayad use piro na sakun
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 79)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.